Judaai Deney Waley Tum Sey Umeed-E-Wafa Kaisi
Ta’aluq Toot Jaaye Jab, Mohabat Rooth Jaaye Jab
To Phir Rasm-E-Duaa Kaisi Milan Ki Iltejaa Kaisi
Bhanwar Main Dolti Kushti Pe Sahil Ki Tamanna Kia,
Ukhartey Saans Hoon To Zindagii Ki Aarzoo Bhi Kia,
Jo Manzil Kho Chuki Ho Us Ki Phir Se Justaju Bhi Kion,
Razaa-E-Dost Par Achaa Sar-E-Tasleem Kham Karna
Sisakney Se Yehi Behtar Hay Na Umeed Hi Marna,
Magar Dil Nay Tumhian Kis Wastey Se Yaad Rakhkha Hay
Tumhain Kion Shairy Main Aaj Tak Abaad Rakhkha Hay
Abhi Tak Main Nay Khud Ko Kion Bohat Barbaad Rakha Hay
Hawa Kay Dosh Par Kion Naghma-—e-Faryaad Rakhkha Hay,
Judaai Deney Waley Is Nishani Ki Qasam Tujh Ko,
Tumhaari Bewafai Kaj Adaai Ki Qasam Tujh Ko,,
Mujhey Itna Bata Dena,,
Wafa Ki Chahton Ki Mashalain Kaise Bujhaatey Hain
Nishaan Kaisey Mitatey Hain
Bhulana Ho Jinhain Un Ko Bhala Kaisey Bhulatey Hain