Jo Chaman Ka Baa-E-Bahaar Ho,
To Rukhshar-E-Kali Pe Kyo Na Nikhar Ho.
Bosa-E-Tarf-E-Gul Hai Aaj Shabnam-E-Sahar,
Jaise Muddat-A-Hizr Ke Baad Wisal-E-Yaar Ho.
Shakho Se Lipat Kar Jab Lachakti Hain Gul-E-Saad,
Aisa Lagta Hai Jaise Ishq-E-Khumar Ho.
Iltahaab-E-Ishq Se Bach Paya Kaun Kaha,
Jo Utra To Paya Jaise Dariy-E-Naar Ho.
Tarannum-E-Gul Ke Mutrib Hai Ye Kehkasha
Hawaon Me Jaise Khusboo-E-Gubaar Ho.
Rakash Karti Hai Kyo Hawaaon Me Titliyan,
Shayad Aaj Phir Waridaan-E-Yaar Ho.
Rehbaran Hai Khsboo Gulistan-E-Yaar Ke,
Gulfarosh Puchhta Hai Kya Tum Hi Namabaar Ho.
Naar=fire
Iltihaab=flame
Bosa-Tarf-Gul=kiss On The Eyelid Of Flower
Kehkasan=garen Insect
Namabaar=mesenger
Gulfarosh=merchent
Mutrib=singer
Baa-E-Bahaar=gatway Of Bahaar