Jist-E-Talatum Ke Liye Khud Ko Taiyaar Kar
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar
Kabhi Koi Dil Jo Na Toote Is Jahaan Me
Kuch Aisa Ab Tu Eh Mere Yaaar Kar
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar
Ye Dekho Yaaron Zindagi Ka Tamasha
Ek Pal Aash, Aur Dooje Me Nirasha
Sab Karte Hain Pyar,Sabko Hoti Mohabbat
Par Aaj Har Dil Bole Hai Apni Alag Bhasha
Jane Waale Ko Jana Tha, Wo Chala Gaya
Uske Liye Khud Ko Na Yun Bekarar Kar
Kabhi Koi Dil Jo Na Toote Is Jahaan Me
Kuch Aisa Ab Tu Eh Mere Yaaar Kar
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar
Bhari Mehfilon Me Milti Hume Tanhaai
Khusi Me V Bajti Maatam Ki Sehnaai
Kyun Kare Aakhir Koi Wafa Zalim Jahaan Me
Jab Wafa Karne Pe Milti Bewafaai
Waapas Aana Pade Us Bewafa Ko Tere Paas
Mohabbat Tu Usse Itni Beshumaar Kar
Kabhi Koi Dil Jo Na Toote Is Jahaan Me
Kuch Aisa Ab Tu Eh Mere Yaaar Kar
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar
Bandh Kar Aankhen,Sapne Tere Sehlate Hain
Ankhiyon Se Ashk Gir Tasveer Teri Banate Hain,
Is Zalim Jahaan Me V Ishq Ka Ek Maza Hai
Kar Ke Aashiqi Tumse,Pagal Jo Kehlate Hain
Unhe Dhoodhta Kyun Hai Tu Is Kadara Yahan
Dil Cheer Le Apna Aur Uska Deedaar Kar
Kabhi Koi Dil Jo Na Toote Is Jahaan Me
Kuch Aisa Ab Tu Eh Mere Yaaar Kar
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar
Chuaa Tha Jo Kabhi Tere Labon Ne Humko
Roka Tha Mehfil Ke Saare Doston Ne Homko
Par Rok Na Paye Khud Ko Wo Pyala Peene Se
Kafir Bana,Fir Na Chua Tere Labon Ne Humko
Kyun Karta Hai Tu Dushmani Khud Se
Dushmanon Ko V Doston Me Shumaar Kar
Kabhi Koi Dil Jo Na Toote Is Jahaan Me
Kuch Aisa Ab Tu Eh Mere Yaaar Kar.
Pyar Kar Meri Jaan Mujhe Sirf Pyar Kar