Jiss Ne Dil Ko Aansuon Bakshe Gham Jiss Ka Nazraana Hai
Ab Tak Uss Kaa Dam Bharta Hain Dil Bhi Kya Deewaana Hai
Sadiyaan Guzrii Phool Khile They Jeewan Ki Angnaayi Mein
Aa Jaati Hain Yaadein Jin Kee Jaane Kyoun Tanhaayi Mein
Ashqon Ke Khaamosh Labon Par
Par Aaj Bhi Ek Afsaana Hai
Jiss Ne Dil Ko Aansuon Bakshe Gham Jiss Ka Nazraana Hai
Ab Tak Uss Kaa Dam Bharta Hain Dil Bhi Kya Deewaana Hai
Raaton Ka Sannataa Jaise Samjhaataa Ho Raaz Koyi
Youn Lagta Hain Aaj Ke Jaise Detaa Ho Aawaaz Koyi
Na Jaane Taqdeer Mein Dil Ki
Ki Kab Tak Thokar Khana Hain
Jiss Ne Dil Ko Aansuon Bakshe Gham Jiss Ka Nazraana Hai
Ab Tak Uss Kaa Dam Bharta Hain Dil Bhi Kya Deewaana Hai
Iss Nagrii Mein Majburoon Ko Chahat Ka Adhikaar Kahaan
Jiss Duniya Ki Reet Ho Nafrat Uss Duniya Mein Pyaar Kahaan
Iss Paagal Ko Kyaa Samjhaaoun
Bhola Hain Anjaana Hain
Jiss Ne Dil Ko Aansoun Baqshe Gham Jiss Ka Nazraana Hain
Ab Tak Uss Kaa Dam Bharta Hain Dil Bhi Kya Deewaana Hain