Jiski Tasveer Hum Har Waqt Dekhte Rehte Hain,
Ek Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga…
Yeh Labb Jo Sada Uska Naam Lekar Duaa Mangte Hain,
Pata Nahi Ab Mera Naam Bhi Usse Yaad Nahi Hoga…
Ye Pagal Dil Mera Usse Sadiyaa Deta Hain,
Ek Baar Bhi Uska Dil Mujhe Pukarta Nahi Hoga…
Meri Aankhe Har Pal Uska Rasta Dekhti Hain
Wo To Khwabo Me Bhi Mera Inteezar Karta Na Hoga…
Jiskey Liye Mera Mann Tarasta Hain,
Shabb-E-Tanhai Main Meri Terah Woh Tadapta Nahin Hoga…
Humne To Usko Haathon Ki Lakeeron Main Dekha Hain,
Woh Shaks Kabhi Bhi Mujhe Aise Talaash Karta Na Hoga…
Uska Ehsas Mujh Main Lahoon Banke Beh Raha Hain,
Mujhe Woh Khudke Aansoun Main Bhi Pataa Nahin Hoga…
Humne To Apne Naam Ko Uske Naam Se Joda Hai,
Mere Aur Uske Rishte Ka Usse Khayal Bhi Aata Nahi Hoga…
Jissko Humne Sabab Mussarat-E-Zindagi Mana Hai,
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga…
Woh Meri Manzil Meri Taqdeer Ban Chuka Hai,
Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Ek Karta Nahi Hoga…
Wo Door Rahke Bhi Mere Itne Kareeb Hai,
Ussne To Kabhi Mujhe Mehsoos Bhi Kiya Nahi Hoga…
Hey Rohi Tumne To Uski Chah Me Khud Ke Wajood Ko Rang Diya Hain,
Rohi Tumne Kabhi Socha Hai Woh Shaks Tumse Pyaar Karta Bhi Hoga?

By Ruhin Shaikh “Rohi”