“Jinhain Khud Aas-E-Wafa Nahin Woh Aaj Itratay Hain
Inhain Kia Pata Dil-O-Mohabbat Kisay Kehtay Hain
Woh Jo Bat-Ba-Bat Pa Uth Ka Auron Ko Bulatay Hain
Inhain Kion Bataon Ka Salika-E-Shikva Kisay Kehtay Hain

Manzilon Ka Asar Jub Honay Lagtay Hain Madham Safar Main
Insan Reh Jaye Tanha To Sath Chorna Kisay Kehtay Hain
Rafaqatoon Ki Daur Main Aksar Hui Hum Sa Bhool Chook
Usay Kia Pata Mohabbat Main Maf Karna Kisay Kehtay Hain
Jao Ja Kar Apni Yadoon Ko Tatolo Aur Daikh Lo Humnava Ja Ka
Main Kahan Kahan Roya Aur Tera Manana Kisay Kehtay Hain
Is Tarha Sa To Shayad Koi Pathar Bhi Tera Sath Na Day Kabhi
Shayad Ka Tujhay Bhi Ehsaas Ho Tanhai Kisay Kehtay Hain
Mujhay Har Roz Har Lamha Tarpaya Tum Na Rulaya Tum Na
Agar Yeah Zulm Nahin Mujh Pa To Jafa Kissay Kehtay Hian
Woh Kehtay Hain Ka Hum Sa Naraz Bhi Nahin Hain
Yoon Uth Ka Jana Aur Wapis Na Ana ‘Umair’ Kisay Kehtay Hain
Tumsa Jo Kuch Mile To Tumhein Bhool Jaoon Main
Soorat Koi Bane To, Tumhein Bhool Jaoon Main