Jeevan Ki Mod Par Leja Raha Hai Nahi Janti
Ek Sapna Sa Ankhon Mein Bhar Kar Chal Padhi Hoon
Manzil Kahan Hai Kya Thikhana Kahan Hai Nahi Janti.
Chahaat Ki Seedi Par Paanv Toh Rakh Diye Hain
Sunhaire Rang Ki Chunar Odhh Li Hai Saman
Kismet Muje Kahan Kahan Lejaya Nahi Janti.
Sawan Ke Jhoole Sajaliye Hain Pedhon Par
Barish Ki Doonde Tann Ko Bhigo Rahi Hain
Tamannayen Puri Bhi Hongi Nahi Janti.
Palakon Mein Tumko Basa Liya Hai Janam
Pyaar Mein Khud Ko Doobo Diya Hai
Zindgi Ki Yeh Shaam Haseen Hogi Nahi Janti
Chota Sa Gharondha Bana Liya Tere Sangh
Khawabon Ki Naav Utar Di Hai Samudar Mein
Sahill Paa Bhi Jayoongi Yeh Nahi Janti
Ankhen Bahut Chotee Hain Sapne Bahut Bade
Sochtee Hoon Ankhon Men Inko Bhare Bhare .
Kay Sach Hai Kya Sochtee Hoon Nahee Jantee
Kaun Bada Hai Neera Ka Neer Ya Sapno Kee Tahreer
Kaun Zyada Hai Kaun Kam Nahee Jantee
Tumahree Kasam Main Nahee Jantee