Jashan-E-Bahar Tha
Baarish Farsh-E-Gul Per Musalsal Naach Rahi Thi
Hawa Ki Lay Bhi Thi Bohat Shookh
Pairr(Tree) Khushi Se Jhoom Rahay Thay
Saari Fiza Pattoo`n(Leaf) Ki Hansi Se Goonj Rahi Thi

Sahan-E-Chaman K Gooshay(Corner) Main
Main Bhi Khara Tha Tere Saath
Rooh Ka Daaman Kheench Rahi Tha
Tere Pairahan(Libaas) Ka Aanch(Aag)
Mere Aur Baarish K Laboo`n Per
Khair Rahi Thi
Ek Hi Baat
Tere Hoont, Teri Paishani(Maatha), Tere Haath