Jantaa Hun Main Ki Tumhe Mujhse Pyaar Hai
Meri Hi Tarah Tera Dil Bhee Bekaraar Hai
Darr Hai Tumhe Is Bedard Zamaane Ka
Ke Kahin Judaa Na Karde Kahi Tod Na De In Armaanon Ko
Ye Zamaana Jo Dharkanon Ko Nahi Samajhtaa
Ye Zamaana Jiski Nazron Mein Aansuon Ki Koi Keemat Nahi
Jo Nahi Jaanta Ki Pyaar Kya Hai
Mohabbat Kya Hai Ishq Kya Hai
Khuda Kya Hai Ibaadat Kya Hai
Jo Sirf Fareb Aur Dhoke Ko Maantaa Hai
Jo Sirf Dharm Aur Mazhab Ke Naam Par Ladna Jaanta Hai
Pyaar Karne Waalon Ko Judaa Karna Jaanta Hai
Lekin Mujhe Koi Ghum Nahi Aur Tumse Koi Shikaayat Bhee Nahi
Kyuki Main Jaantaa Hun, Ke Hum Mile To Fir Judaa Na Hua Jaayega
Ek Duje Se Bichharke Fir Raha Na Jaayega Isse To Achha Hai Ki Hum
Apne Armaanon Ko Seene Mein Hi Dafn Kar Dein
Mohabbat Ki Shamma Ko Jalne Se Pehle Hi Bujhaa Dein
Aur Ek Dusre Ki Khushiyon Ki Duaaein Maangein
Aur Upar Waale Se Fariyaad Karen
Ki Is Bedard Zamaane Ko Bhee Pyaar Karna Sikha
Taaki Dil Tutne Ka Ye Silsila Yahin Khatam Ho
Her Taraf Mohabbat Hi Mohabbat Ho
Pyaar Hi Pyaar Ho Chaahat Hi Chaahat Ho
Fir Kisi Pyaar Karne Waale Ko
Dharm Aur Mazhab Ke Naam Par
Apni Mohabbat Ka Galaa Na Ghotna Pade
Aur Pyaar Karne Waalon Ke Beech
Koi Dharm, Koi Rasm Koi Mazhab Deewaar Na Bane