Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Raat Mein Aankhon Me Ek Anjana Sa
Khawab Aaya,
Maine Uss Bedard Ko Jee Bhar Ke Meri
Yaad Mein Rota Paya,
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Wo Ro Raha Tha Jor-2 Se,
Ki Koi Bhi Use Sambhal Na Paya,
Shyad Hogaya Hoga Use Yaqeen Meri
Mohabbbat Aur Apni Bewafai Pe,
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Tabi Shayad Wo Dil Ki Tadaf Ko Seh
Nahi Paya
Aaj Shyad Uske Koi Kareeb Na Tha,
Tabhi Wo Apne Dil Ke Jajbatoon Ko
Samajh Paya
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Kehta Tha Bade Maan Se Wo Mujhe Teri
Kabhi Yaad Nahi Aati,
Phir Aaj Uske Dil Mein Meri Yaadon
Ka Ye Tuffan Kaise Aaya
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Jisne Kabhi Mere Intzaar Me Ek Pal
Na Gawana Chaha,
Aaj Usi Insaan Ki Aankhoon Mein Ye
Intzzar Ka Aina Kaha Se Aaya
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Door Hote Waqt To Uske Hotthon Pe
Hassi Thi,
Phir Aaj Arse Baad Uski Aankhon Mein
Nami Ka Samunder Kaha Se Aaya,
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya,
Ye Na Maloom Hai Mujhe Ye Sachai Hai
Uski Halat Ki,
Ya Phir Ek Naya Dhokha Khawaabon Mein
Maine Khaya
Jane Kyun Mujhe Ek Khawab Aaya