Janam Hamein Deti Hai Jo
Dulaar Deti Hai Apni Mamta Ka
Maa K Roop Mein Jo Hamein
Ye Duniya Dikhati Hai
Wo Bhi Ek Naari Hai
Bachpan Se Ladakpan Tak Jo
Hamein Naye-Naye Khel Sikhati Hai
Behan K Roop Mein Jo Hamein
Kuch Nayi Cheez Sikhati Hai
Wo Bhi Ek Naari Hai
College Mein Wo Hi Naari
Hamari Dost Ban Jaati Hai
Saath Hamare Rehkar Wo
Zindgi K Rang Dikhlati Hai
Jawani Mein Wo Naari
Hamari Jeevan Sangeeni Ban Jaati Hai
Zindgi K Har Sukh Dukh Hamara Saath Nibhati Hai
Kai Roop Hai Us Naari K Jo Shayad
Ek Aadmi Pura Banati Hai
Sajda Karta Hu Mein Us Naari Ko
Jo Kabhi Maa Kabhi Behan Kabhi Dost
Aur Kabhi Jeevan Sangeeni Bankar
Hum Par Apna Pyaar Lutati Hai