Jaise Jaise Tum Har Ek Kadam Badhaate Jaa Rahe Thhe,
Meri Nazron Se Aur Bhi Door Hote Jaa Rahe Thhe,
Dil To Kar Raha Tha Bohat, Rok Lun Main Tumhe,
Wo Lamhe Kuch Zyada Hi Jaldi Guzarte Ja Rahe Thhe,
Na Jaane Phir Kabhi Mulakaat Ho Na Ho
Kuch Aise Khayalaat Mujhe Daraa Rahe Thhe,
Jitna Bhi Waqt Guzaara Hai Maine Saath Tumhare,
Reh Reh Ke Sab Aankhon Me Lehraa Rahe Thhe,
Wo Tumhari Muskaan,Wo Har Adaa Yaad Aa Rahi Thi,
Wo Saari Yaadein Mujhe Bohat Rula Rahi Thhin,
Aankhein To Tumhari Bhi Jaate Waqt Nam Thhin,
Judaai Ka Ehsaas Jhuki Palkein Kara Rahi Thhin,
Na Tum Alvida Keh Sake Jaate Waqt Na Main,
Zubaan Pehli Baar Ladkhadaa Rahi Thhi,
Tumhare Saath Bitaaye In Kuch Palon Me,
Maine To Apni Ye Poori Zindagi Jee Li Hai,
Samet Ke Rakha Hai Har Wo Lamha Kuch Aise,
Sabse Badi Khushi Jaise Zindagi Ki Mili Hai,
Aaj Main Har Us Jagah Gayi,Jahan Jahan Ham Mile,
Khushbu Bhare Mohabbat Ke Phool Wahan Thhe Khile,
Hawaaon Me Wahan Ki Kuch Aisa Ehsaas Thaa,
Ek Pal Ko Laga,Tu Wahin Mere Paas Thha,
Ghuli Hui Hai Hawaaon Me Tumhari Hi Khushboo,
Simat Jaati Hai Jisme Meri Zindagi Ki Har Arzoo,
Do Pal Ko Aankhein Band Kari Maine To Dekha,
Muskurate Huye Tum Mujhe Hi Dekh Rahe Ho,
Aisa Ye Jaadu Tum Kar Gaye Ho Mujhpe,
Yahan Ki Fizaaon Me Tum Abtak Mehak Rahe Ho,
Kaash Main Tumhe Hamesha Ke Liye Apne Paas Rok Sakti,
Kaash Ye Nigaahein Har Waqt Tumhe Hi Nihaar Saktin,
Kaash In Haathon Me Har Waqt Tumhara Hi Haath Hota,
Har Lamha Mere Paas Tumharaa Saath Hota,
Tumhari Hi Baahon Me Basti Hai Meri Ye Zindagi,
Tumpe To Poora Yakeen Hai,Par Zindagi Pe Nahi,
Na Main Tumhare Bina Kuch Hun,Na Tum Mere Bina,
Kyon Pyaar Ko Nahi Samajhti Hain Ye Majbooriyan,
Jo Pyaar Bhari “Yaadein” Tum De Gaye Ho Mujhe,
Ab Inke Sahaare Hi Meri Ye Zindagi Hai
Tumse Har Khushi,Tumse Ab Ye Zindagi Hai,Bas Tu
Mhare Liye Hi Jeeti Ab Ye “Nidhi Hai