Jabse Wo Mere Ghar Mehmann Hone Lage Hain;
Dusman Bhi Abto Meherbaan Hone Lage Hain.
Hum Jubse Teri Justzoo Mein Rahner Lage Hain;
Jane Kyun Her Gum Se Anjaan Hone Lage Hain.
Jo Log Rahe Kal Tak Meri Jaan Ke Dusman‚  ;
Sunta Hoon Ab Mujhpe Kurbaan Hone Lage Hain.
Jubse Laga Gaye Hain Wo Keemat Mere Dil Ki;
Nacheez K Bade Kadradaan Hone Lage Hain.
Itna Bhi Karam Mat Ferma Tu Mujhpe Ai Nigah -E- Naaz;
Ke Tere Ehsano Tale Dabke Mera Dum Nikal Jaye;
Aisa Na Ho Pad Jaye Phir Aadat Teri Mujhe ;
Tu Ger Chhodker Jaye To Mera Dum Nikal Jaye.
Unki Neeyat Wo Jane Ya Khuda Jane ;
Ab Humpe Anchahe Ehsan Hone Lage Hain.
Jabse Wo Utar Aaye Hain Es Dil Mein Mastghan ;
Sab Kaam Ab Kitne Aasan Hone Lage Hai