Jabse Dekha Hai Unki Tasveer Ko
Ek Aarzu Si Dil Mein Machalne Lagi
Jisko Dekha Thaa Ab Tak Apne Khawabo Mein
Unki Tasveer Us Tasvur Mein Rang Bharane Lagi
Abhi Jab Tak Dekha Na Thaa Unko
Tab Bhi Mera Dil Unki Baato Ka Diwana Thaa
Aaj Aagye Saamne Jab Woh Ru-Baru Toh
Meri Nazare Sharm Se Jhukane Lagi
Us Sawaale Sajan Ki Murat Ab Mere Dil Mein Basane Lagi
Dhaala Karti Thee Main Ek Akas Ko
Apne Geeto Mein Aksar Lafaz Bana Kar
Usko Apne Sahbado Ke Aaine Mein Saaja Kar
Aaj Jab Dekha Unhe Toh Mere Gazalo Ki Surat Unse Milne Lagi
Jab Se Dekha Hai Unki Tasveer Ko Ek Aarzu Dil Mein Machalne Lagi
Chhoo Liya Karta Thaa Woh Mere Dil Ko Apni Baato Se
Rang Jaate They Mere Din Aur Raat Uski Meethi Baato Se
Uska Woh Ruthana ,Manaana.Woh Fir Hamko Sataana
Mere Geeto Ki Gungunahat Ban Jaaya Karta Thaa
Aaj Thaama Jab Usne Haath Mera Apne Haatho Mein Toh
Mere Geeto Ko Jubaan Milne Lagi
Jab Se Dekha Hai Unki Tasveer Ko Ek Shama Pyaar Ki Dil Mein Jalane Lagi
Dekha Hai Jabse Unki Tasveer Ko Ek Arzu Si Dil Mein Machalne Lagi