Jab Shab Ki Tareeki
Suraj Ki Shermati Kirno Ko
Apne Wajood Mein Samait Ker
Her Dar-0-Deewaar Ke Jism Mein
Darrana Ghus Jati Hai
Phir Her Rooh Apne Apne Jism Se Juda Hoker
Kabhi Samunder Ki Gharayee Ko
Kabhi Koh-E-Qaaf Ki Bulandi Ko
Napti Phirti Hai
Us Waqt Meri Be Jaan Aankhain
Najane Kaise Kaise Zinda Khuwaab
Dekhna Shuru Ker Deti Hain
Kabhi Teri Aahat Ka Dhooka
Kabhi Tere Jism Ka Larazta Sa Lams
Kabhi Teri Zulfoon Ki Manoose Khusbu
Kabhi Teri Sansoon Ki Germahat
Kabhi Tere Kapdoon Ki Sersarahat
Mujhe Sochne Per Majboor Ker Deti Hai
Ke Main Hi Nahin Tu Bhi
Neem Jaan Aankhon Se
Mere Zinda Khuwab Dekh Rahi Hai
Aur
Teri Rooh Bhi Meri Rooh Ki Tarah
Khud Ki Talash Mein Segerdaan Hai