Jab Se Aik Ajnabi Ko Apne Dil Mein Basaya Hai
Tab Se Meri Zindgi Ka Har Rang Nikhar Aaya Hai
Har Lamha Har Jagah Bas Usi Ka Hota Hai Dedar
Ab To Kudrat Ka Har Jalwa Hasen Nazar Aaya Hai
Gulabi Honth Mehkte Gesu Mekhmal Sa Badan
Uske Yowaan Ne Zehn-O-Dil Pe Ik Qaher Daya Hai
Woh Chamakti Ankhien Woh Uske Chehre Ka Noor
Jasey Insaan Ke Roop Mein Chand Uthar Aaya Hai
Naaz Apni Kismat Par Bhalla Kyunkar Na Karu
Usko Pakar Zamane Ka Nayaab Gouhar Paya Hai
Bolne Lagi Hai Meri Ghazalein Kyun Shayaad
Mere Asha’aron Mein Bhi Ussi Ka Asar Aaya Hai