Jab Bhee Yeh Nazren Dekhti Hai Tumhe
In Honthon Pe Muskurahat Cha Jaati Hai
Tumhaari Yeh Paayal Ki Jhankaar
Aur Haathon Ke Yeh Kangan Ki Aawaaz
Mujhe Tumhara Diwana Bana Dete Hain
Har Subha Tum Jab Apni Bhigi Huyi Zulfon Se
Mere Chehre Par Paani Ki Bunde Giraati Ho
Sooraj Ki Kirne Fir Dhire Se Dastak Deti Hai
Meri Wo Subhaa Aur Bhi Haseen Lagne Lagti Hai
Woh Dheere Dheere Se Jab Main Qarib Aata Hun
Badhtii Huyii Dharkanon Ko Har Pal Mehsoos Karta Hun
Jab Mere Haath Chhute Hai Tumhaare Labon Ko
To Naa Jaane Kyuun Ajeeb Saa Ehsaas Hotaa Hai
Uss Ehsaas Ko Aur Uss Pyaar Ko
Main Apney Dil Mein Hameshaa Zindaa Rakhungaa
Haan Hameshaa Zindaa Rakhungaa