Jaane Kis Se Hawaaon Mein Baate Karte The Wo
Kisi Anjaan Si Tasweer Se Dill Lagaate The
Apni Mohabbat Ko Rakeeb Ki Baahon Mein Dekh
Man Hi Man Har Waqt Hum Kasam Khaate The
Chori – 2 Unki Har Adaa Pe Nigaah Rakhi Humne
Jaane Kiski Shokhi Ko Dekh Vo Muskuraate The
Kabhi Hanste The ,Kabhi Apne Gham Sunaate The
Us Tasweer Se Jaane Kitne Pal Batiyaate The
Wo Tasweer Na Thi Naasur Thi Seene Mein Hamaare
Kis Maasumiyat Se Jise Dekh, Wo Khilkhilaate The
Har Andaaj Unka Kuchh Naya Liye Tha
Kabhi – 2 Tasweer Se Hi Jaane Wo Q Sharmaate The
Apni Mohabbat Ka Ijhaar Na Karne Ki Khata Per
Hum Ghadi Har Dhadi Dil Ko Rulaate The
Us Anjaan Shay Ke Sapne Un Aakho Mein
Khwaab Aur Taaro Ki Tareh Jhilmilaate The
Jab Bhee Dekha Tasweer Ko Seene Se Laga
Khayalo Ki Duniya Mein Hone Ka Ehsaas Karaate The
Hum Bhi Ho Gaye Fanaah,,Zindgi Unki Bhi Na Rahi
Magar Ab Bhi Barkaraar Tha Tasweer Ka Jaadu
Jaane Kon Thi Vo Khuskismat
Taaumr Seene Se Lagaaye Umar Gujaar Di
Maut Bhi Juda Na Kar Saki Us Tasweer Ko Dill Se
Akele Hum The,, Akele Vo The
Darmayaa Thi Vo Anjaan Shay, Wo Tasweer
Saare Jahaan Ke Khwaabo Ko Band Aankho Mein Samete
Duniyaa Se Bahut Door Wo Soye Pade The
Aakhiri Waqt Mein Jo Pehlu Padla Tasweer Kaa
Shaayad Hamaari Aankho Mein Kisi Ko
Dekhne Ki Gairat Na Bachi Thi
Sanam Harjaai Hami Se Dill Lagaate The