Itna Waqt To Heera Khojne Mein Bhi Nahin Lagta,
Jitna Tujhe Khojne Mein Lag Raha Hai
Itna Intezaar To Maut Ko Aane Mein Bhi Nahin Karna Padta,
Jitna Tera Karna Pad Raha Hai
Itna Waqt To Mausam Badalne Mein Bhi Nahin Lagta,
Jitna Tujhe Paas Dekhne Mein Lag Raha Hai,
Itna Waqt To Patjhad Ko Bahaar Banane Mein Bhi Nahin Lagta,
Jitna Tujhe Apna Banane Mein Lag Raha Hai