Ishq Ne Ismayeel Ko Kee Ata Thee Zam Zama
Warna Sehra Laq-O-Daq Tha Had-Dae-Nazar Tak Door Door
(Ibraahim Allaehissalam Had Been Left Alone With His Mother Hajira.
And She Was Searching Water For Her Son ,
And Allah Created A River Of Zam Zam In The Desert)
Ishq Kae Dum Sae Hain Naazil Aasmaani Ae Kutub
Aek Quraan, Tauriat, Aek Injeel ,Ek Zaboor
(Kutub….Plural Of Kitaab,,,, Book)
Ishq Rabbae Zul Jalaal,Ishq Hain Perwerdigaar
Ishq Dooja Kuch Nahi, Ishq Hain Allah Ka Noor
Ishq Nae Aasaan Kiyae Merhilae-Da Merhilae
Ishq Jeenae Ka Saleeqa,Ishq Hee Hai Baa-Shawoor
Hum Ae Kehtae Hain Allal Aelaan Sub Sae Ae Hi Baat
Ishq Sa Hoga Naa Neemat, Aazmaaloo Tum Zaroor
Ishq Muxda Hain Aman Ka,Ishq Hii Baqshae Soroor
Peeliya Jis Nae Phi Usko.Hogaya Wo Ghum Sae Door
Muxda.Paeghaam
Jis Kisii Nae Bhi Kabhi Raz -Ae-Ulfat Ko Kabhi Samjha Nahin
Fazlae Rabbi Sae Yun Samajhloo Hogaya Wo Kosoon Door