Ishq Junun Bhee Hai Sanjeedgi Bhee Hain
Ye Hawis Bhee Hai Pakeezgi Bhee Hain
Shokhi Bhee Hai Ishq
Baanki Adaaon Pe Lutnay Ka Naam Bhee Hain
Ruh-E-Irtqa-E-Dil-O-Dimagh Bhee
Zindagi Ko Samjhnay Ka Naam Bhee Hain
Ishq Masrufiat Bhee Fursat Bhee Hain
Ishq Kurbat Bhee Aur Furqat Bhee Hain
Ishq Rif_at Bhee Aur Wusat Bhee Hain
Aur Ishq Kabhi Faqt Chahat Bhee Hain
Yeh Masumiyat Bhee Rikhshandgi Bhee Hain
Bosa Hai To Kabhi Bandgi Bhee Hain
Zamin Bhee Hai Aur Aasman Bhee Hain
Magar Ufaq Ka Ismay Nishan Bhee Hain
Kabhi Bistar Ki Salwaton Sa
To Kabhi Mandir Ki Murton Sa
Kabhi Uryaanion Ka Shaida
To Kabhi Meera-O-Mariam Ki Surton Sa
Ishq Rog Bhee Magar Mudawa Bhee Hain
Ishq Parastish Bhee Magar Daawa Bhee Hain
Rishton Say Sada Juda Hai Ishq
Isliyay Hi Bana Khuda Hai Ishq