Intezaar Ke Woh Saare Kissa Khatm Ho Gaye
Jab Tum Dabe Paav Pari Banke Mere Paas Aayi
Suraj Ke Kiran Jo Gaalon Pe Gir Rahe Hai
Haya Ki Laali Ko Aur Gahra Kar Rahe Hai
Tumhare Kaampte Hue Honth Kuch Aise Dikhte Hai
Jaise Thandi Hawa Mein Phool Kaamp Rahe Ho
Hawa Mein Udte Tumhare Baalon Ko Dekhkar
Man Mein Meethi Armaan Jaag Uthe Hai Hazaar
Chahra Tumhara Haathon Mein Lekar Jab Maine
Halke Se Uthaya To Aankhen Kyon Band Hogaye
Tumhare Jhuke Hue Aankh Kya Kah Rahe Hai
Yeh Jaanne Ke Liye Dil Mera Bechain Hai
Kuch Aise Kho Gaye Ho Tum Khamoshi Mein
Tumhari Awaaz Ke Liye Taras Raha Hoon Main
Apne Hoton Se Meethi Baaton Ke Moti Girao
Apni Dil Ki Saari Baatein Mujhse Izhaar Karo
Shabdon Se Na Sahi,Ankhon Se To Kuch Kaho
Lekin Aise Chup Na Raho, Aise Chup Na Raho