Ik Aisa T’alluq-E-Khaatir Tha Sab Hosh Ke Saamaan Bhul Gaye
Bas Zulf-E-Pareshan Yaad Rahi, Ham Jeb-O-Garebaan Bhul Gaye
(T’alluq-E-Khaatir=faarsi Aur Urdu Mein Dil Ke T’alluq Ko Kahte Hain,
Jeb-O-Garebaan=robes)
Umeed Kaa Tufan Seene Mein Aur Lamha-E-Rukhsat Aankhon Mein
Kya Sach Hain, Kya Hain Fareb-E-Nazar Sab Ai Shab-E-Hijraan Bhul Gaye
(Lamha-E-Rukhsat=moment Of Parting, (Unke) Jaane Kaa Ya Bichhadne Kaa Lamha,
Fareb-E-Nazar=nazar Ka Dhoka, Shab-E-Hijraan= Shaam-E-Judaai,)
Tark-E-Wafa Kaa Woh Lamha, Woh Gardish-E-Dauraan Kaa Rukna
Phir Hum Par Jo Kuchh Guzri Hai, Hum Ai Gam-E-Jaanan Bhool Gaye
(Tark-E-Wafa=bichhadna, Gardish-E-Dauraan=duniya Ka Chalna)
Sarsabz Bahaaron Kii Yaadein, Shaadab Zamane Kii Baatein
Yak Laqt Khizaan Jo Aayi Thii, Hum Rang-E-Gulistaan Bhul Gaye
Sarsabz, =harabhara, Green, Shaadab=harabhara, Khush Haal,
Yak Laqt=suddenly)
T’ameer-E-Nasheman Bhii Ai Dil, Ik Kaavish-E-Laahasil Hii To Hain
Jo Barq-E-Ghazab Thii Sholafishaan Kya Daanish-E-Nadaan Bhulgaye
(T’ameer-E-Nasheman=nasheman Banana, Kaavish-E-Laahasil=bekar Koshish,
Fruitless Effort, Barq-E-Ghazab=deadly,Fearful Lightning, Sholafishaan=,
Sholay Barsaata Hua, Spewing Fire, Daanish=intellect, Wisdom,Also Taqallus Here)