Humko Apni Zindagi Tab Se Bhali Lagne Lagi
Jab Se Ik Shaitaan Si ( Ki) Larki Pari Lagne Lagi
Zulf Thi Raat, Ankh Us Ke Chandne Lagne Lagi
Uski Khaamoshi Bhi Jaise Shayri Lagne Lagi
Ab Bhi Hum Karte Hain Sab Apni Khushi Se Hi Magar
Uski Marzi Ab Humen Apni Khushi Lagne Lagi
Kaatne Ki Chiz Lagti Thi Yeh Jine Ki Nahin
Woh Mila To Zindagii Bhi Zindagii Lagne Lagi
Roz Un Aankhon Ke Nashey Ko Is Qadar Tarse K Bas
Roz Maikhaanon Mein Apni Haaziri Lagne Lagi
Us Se Pahle Thi Faqat Yeh Ik Nikammi Lat, Magar
Sher Kahne Ki Ab Aadat Kaam Ki Lagne Lagi
Kal Kar Ke Aayi Thi Who Ballon Ki Do Chotiya
30 Saal Ki Bhudiya Bhi Humey Bachi Lagne Lagi