Hum To Jaan Se Jaate Hain Unki Yaadon Se,
Kya Hoga Ab, Sarkaar Chale Aaye Hain.
Nigaahon Mein Rahegi Chamak Barson Tak,
Karke Jo Unka Deedar Chale Aaye Hain.
Hume Kya Ilm Kya Hai Tareeka-E-Mahfil Yahaan,
Deewaane Hain, Deewaane-E-Yaar, Chale Aaye Hain.
Ek To Main Aur Unke Bulane Ka Asar,
Lutne Ko Sare Baazar Chale Aaye Hain.
Mushkil Hai Unse Haal-E-Dil Kahna, Socha Hai,
Wo Sabse Karte Inkaar Chale Aaye Hain.
Ab To Baton Mein Log Maza Lete Hain,
Kahte Hain -Ë—dekho Yaar Chale Aaye Hain-‘.
Zaroori Tha Is Raaste Pe Thahar Jaana Mujhko,
Aur Hum -Ë—tanha-‘ Tez Raftaar Chale Aaye Hain.
Jahan Rahti Thi Mere Yaar Ki Pahchan Sabhi,
Chhod Ke Wo Ghar-Baar Chale Aaye Hain.
Abhi Is Khaak Ko Waadon Ne Baandh Rakha Hai,
Kai Toofaan Karke Paar Chale Aaye Hain.
Tum Apne Haal Par Kyun Ho Hairaan Itne?
Parwaane To Jalte Yaar Chale Aaye Hain.
Unko Bhi Aata Nahi Karar Kuchh Bina Mere,
Bechainiyon Mein Wo Bhi Har Baar Chale Aaye Hain.