Hum Nafas Hai Na Hum Kadam Koi,
Na Kushi Hai Na Mujhko Gham Koi,
Apni Pehchaan Me Bhi Rakhta Houn,
Aaj Rakh Le Mera Bharam Koi,
Souch Se Aihsaas Tak Paikar Wohi,
Mere Har Manzar Ka Pas-Manzar Wohi,
Dil Bankey Dil Me Dhadakta Rahounga Me
Lahoo Bankey Jism Me Phirta Rahounga Me,
Waqt Key Sath Har Zakm Tau Bhar Jayega,
Dil Mey Jo Gham Ka Samandar Hai Kidhar Jayega,
Mera Aihsaas Tau Suraj Ki Tarah Roshan Hai,
Doubtey Hi Aur Kahin Yeh Ubhar Jayega,
Waaz Ko Gunj Ban Jana Hai,
Hawa Mey Har Su Bikhar Jana Hai,
Junoon-E-Isq Mey Hadh Sey Guzar Gaya Koi,
Key Sajda Budh Ko Tasawur Mey Kar Gaya Koi,
Jo Aansoo Dil Me Girtey Hai Aankhoun Pe Nahi Rehtey,
Bohat Se Hurf Aisey Hai Jo Lafzoun Me Nahi Rehtey,
Youn Tau Chaptey Hai Zamaney Bhar Key Afsaane,
Magar Jinmey Haqeeqat Ho Woh Kitaboun Mey Nahi Rehtey
Inshallah Aaj Itna Hi Phir Aagey Jab Aap Ki
Farmaish Hogi Tau Hum Apney Kalam Sey Nawazey Gey,
Youn Tau Mere Sher Zamaney Ke Liye Hai,
Magar Chand Ashaar Aap Ko Sunaney Key Liye Hai.