Hum Dil Ki Aanhen Unko Suna Nahi Sakte,
Ehsaas Kuch Aise Hain Ki Alfaaz Bana Nahi Sakte.
Yoon To Sare-Falaq Roshan The Anjum* Bahot,
Par Kisi Ko Tujhsa Mahtabe-Hayat* Bana Nahi Sakte.

Goya Ashkon Ki Azmat Hai Mere Daaman Me Lekin,
Kabhi Jalta Hai Jism To Barsaat Bana Nahi Sakte.
Khudara Bhool Hui Jo Ek Baar Unki Parastish* Kar Lee,
Ab Chahen Bhi To Dil Ko Unka Ilhaad* Bana Nahi Sakte.
Log To Dam Bharte They Tere Andaze-Tasavvur* Pe’shaad’
Ye Bhi Din Hain Ki Sanam Ke Bhi Khayalat Bana Nahi Sakte.
Anjum=stars.
Mahtab-E-Hayat=zindgi Ka Chaand,Light Of Life.
Parastish=prayer,Pooja.
Ilhaad=naastik.
Andaze-Tasavvur=way Of Thinking..