Hoti Hai Khud Ki Hi Zaat Se Mujhe Washat Kabhi Kabhi!,
Bus Yunhi Badalti Rehti Hai Humari Tabiyat Kabhi Kabhi.
Tanhai Wo Zindan Ke Siwa Aur Diya Kiya Hai Yaar Ne Mujhe?!,
Par Agey Milla Karti The Mujhe Sanam Se Rahat Kabhi Kabhi.
Kabhi Judai Ke Bayis, To Kabhi Roswai Ke Bayis Se,
Dikhti Nahi The Mujhe Bhi Apne Yaar Ke Surat Kabhi Kabhi.
Darta Hoon Kiya Pata Ke Mehshar Main Hum Dono Ka Hisaab Na Ho!,
Gozarti Rehti Hai Isi Baat Se Mujh Pe Qayamat Kabhi Kabhi.
Aye Dost! Karliya Hai Usne Tarq-E-Taluq Humse Per,
Iske Bawajud Hoti Hai Meri Jaan Ko Meri Zarorat Kabhi Kabhi.
Ye Taqdeer Ki Baat Hai Aur Taqdeer Se Zyada Kisi Ko Kuch Milla Nahi,
“Haseeb” Milti Hai Har Insan Ko Muhabbat Ke Badle Main Muhabbat Kabhi Kabhi.

By Mirza Haseeb