Hosh Mein To The Ab Tak, Par Jab Jiye Bekhudi Mein,
To Jaane Ki Ye Bekhudi Kis Cheez Ka Naam Hai,
Bekhudi Mein Hi Rahein To Achha Hai, Na Laaye Ab Koi Hosh Mein,
Ki Ye Hosh To Ab Hamaare Liye Ho Gaya Haraam Hai

Jeete The Zindagi Ko Apni Badi Khushi Ke Saath,
Magar Jab Ye Marz-E-Ishq Hua To Jaane Ki
Bin Marz-E-Ishq Ye Zindagi Benaam Hai,
Mausam To Kayi Aaye Aur Chale Gaye,
Par Mausam To Woh Hai Jiske Haath
Aapki Khulti Zulfon Ne Bheja Payaam Hai.
Sharm-O-Haya Ke Kya Kehne Ki Seedha Dil Pe Vaar
Karti Hai, Tab Jab Ye Aapki Jhukti Nazron Se
Hoti Bayaan Hai.
Haal-E-Dil Apna Hum Labon Se Bayaan Karein
Bhi To Kaise Kyunki Aapki Ek Jhalak Be In
Pe Kasdi Lagaam Hai,
Hamare Izhaar Ke Tareeke Woh Samajh Nahi Paate,
Par Kya Karein Ye Sab To Apki Ek Jhalak Ka Hi Anjaam Hai,
Khamoshi Laakh Sahi Labon Par Magar, Nigaahon Se To Ye
Haal-E-Dil Hota Sab Bayaan Hai.