Hey Safar-E Zindagi Un Rahon Se Le Chalo Hume,
Jahan Subha Suraz Ke Kiranon Ki Jilmilahat Un Nadi Ke Pani Par Ho,
Jahan Bagh Ke Unkhootsurat Raste Ho ,Us Bagh Mian Parindon Ke Sureli Geet Ho,
Bagh Main Phalon Ki Meetti Khushubooyen Ho,
Jahan Chaman Ke Rahoon Main Lechalo Us Chaman Main Baharaorn Ka Guzar Ho,
Us Baharon Ki Fizaz Main Basa Huva Un Phoolon Ki Khsushooyen Ho ,
Jis Bahar Ke Aane Se Phoolon Ki Muskurahat Se Bhikhere Huve Ho,
Un Bahare Ke Intezaar Main Khushboo Mehkane Ki Kaliyan Ho,
Hey Safar-E zindagi Un Rahon Se Le Chalo Hume ,
Jahan Gehare Wadiyan Ho Hare Bhare Un Wadiyon Main Chote Chote Jerne Ho,
Jahan Neele Aasmaan Ko Chulene Wale Badhe Badhe Pahaade Ho.
Jahan Aasmaan Par Raaz Kerte Suraj Par Chaaye Kale Ghatayen Ho,
Suraj Ke Sath Ankh Macholi Kerte Baadal , Suraj Ki Tapish Ko Apane Aaghosh Main
Chupaker Fizaa Main Thandi Hawawon Ko Bikhar Rahe Ho,
Jahan Taaze Patho Par Girte Huve Barish Ke Bunden Ho,
Un Boondon Ke Girane Se Zameen Se Utt Te Huve Khushbooyen Ho,
Hey Safar-E-Zindagi U N Rahon Par Le Chalo Hume.
Jahan Sirif Khushiyan Hi Ho, Gumon Ka Saya Bhi Na Ho