Hava Ke Jharoke Se Mand Ho Kar Fir Jal Uthi Aaftaab Ho Jaise
Khajaalat Se Jhuk Kar Khule The Teri Palko Ke Baab Ho Jaise
Dekhi Thi Humne Khoobsurati Sahar Me Khili Masoom Kali Ki
Dekh Kar Mujhe Teri Palko Ka Jhuk Jana Tera Aadaab Ho Jaise

Bandh Ke Rakh Diya Ho Sama Kisi Shayar Ki Haseen Gazal Ne
In Nargisi Aakhon K Kaif Hue Aaise Nasha-E-Sharaab Ho Jaise
Shabnami Raat Ki Mehtaab Mein Mehwash Ke Husn Ko Dekha Ho
Teri Surmayi Aakhon Me Doob Jane Ka Lutf Koi Shabab Ho Jaise
Badr ———> Moon
Mand ——–> Dim
Khajaalat —-> Bashfulness/shy
Baab ———> Door
Sahar ——–> Morning
Kaif ———-> Intoxication
Mehtaab —-> Moonlight
Mehwash —-> Having A Face As Beautiful As The Moon