Hasin Rangeen Wadyion Me Jannat-E-Fiza Ho Gaye
Mit Gaye Sabhi Phasle Do Dil-O-Jaan Ek Ho Gaye
Aasman Ke Jeeno Se Utarane Lagey Jab Machaltey Baadal
Kudrat Ke Phaili Bahon Me Do Jahan Ek Ho Gaye
Girte Hain Shakhon Se Phool Chahat Me Kadamposhoi Ki
Makhmali Rahaon Me Bichure Karvan Ek Ho Gaye
Behakne Lagi Surmai Sham Jab Aye Agosh Me Hum
Sard Raton Me Beqarar Pighalte Armaan Ek Ho Gaye
Pyase Labon Per Barasne Lagi Jab Ulfat-E-May Yara
Samnder-E-Paimana Me Nasheeley Toofan Ek Ho Gaye
Berfili Chaadron Per Parti Rahi Silwatey Raat Bhar”Sona”
Tamannao Ke Halchal Se Karwat-E-Nishan Ek Ho Gaye