Hamein Kis Zaraf Ke Kirdaar Ke Qissey Sunaata Hay
Tujhey Aey Shehar Hum Bhi Jaanatay Hein Ik Zamanay Se
Aabhi To Fasal Taazaa Hay Hamarey Harf-O-Maani Ki
Abhi Dartay Nahi Hum Mosmon Ke Aanay Jaanay Say
Abhi Tao Aankhein Boojhi Hein, Dil Abhi Salaamat Hay
Zamenein Baanjh Hoti Hein Kabhi Faslein Jalanay Say
Mujhay Tanha Sachi Dosti K Raston Par Chalna Hay
Nidamat Ho Gee Uss Kay Hoslon Ko Aazmanay Say
Jhoot Ki Bunyaad Par Dosti Gawara Nahi Kartay
Bircher Jatay Hein Palatna Gawara Nahi Kartay
Hay Tum Ko Ager Jana Hi To Jao Bhi Khudara!
Mur Mur K Kisi Ko Dobara Pukara Nahi Kartay
Kut Jaatay Hein Mit Jatay Hein Kuch Log Ana Par
Dastaar Magar‚  Sar Say Utara Nahi Kartay
Chahat To Muqadar K eSitaron Ka Safar Hay
Ulfat Pe Meri Jaan “Ajaraa” Nahi Kartay
Kiyon Dastakein Detey Ho Merey Dar Par
Tajdeedey Muhabbat To Dobara Nahi Karte