Hamari Akhon Mein Jo Hai, Wohi Mann Mein Basi Hai
Bulandh Hai Hauslen Aur Himmatein Gagan Mein Basi Hai
Nahi Kahuf Siwa Isske Ke Koi Dost Kho Jaye
Jaan Apni Sarpe Baandhe Kafan Mein Basi Hai
Koi Aur Dua Maangu, To Gire Mujhpe Barq-E-Marg
Jal Jaye Yeh Zaban, Jo Dehan Mein Basi Hai
Barq-E-Marg = Janlewa Bijli, Dahan=mouth
Baad-Khwar Hei Phir Bhi, Nahi Uss Aadmi Mein Khu
Sirf Baad-Khwari Hai Gunah, Yeh Zehan Mein Basi Hai
Baad-Khwar=sharaabi/drunkard, Khu=burai,Zehan=mind/thoughts
Masoom Titliyon Ki Jaan Gulon Ki Khairiyat Mein Hai
Hamari Bazm Ki Harr Saans, Aman Mein Basi Hai