Ham Roo-B-Roo Hain! Deykho! Nazreyn Na Churaaou Tum!
Pahichaanney Lagogey: Palkeyn To Uthaaou Tum!!
Ummeedwaar Hoon Mein! Kuchh To Kaho, Karoon Kyaa?
Kyaa Shart Hai Tumhaaree? Kuchh Bhi Ho? Bataaou Tum!
Har Lamhey Hashra, Dekho, Nazdeeq Aa Rahaa Hai;
Ham Beetney Lageingey: Mat Deir Lagaaou Tum!
Guzree Hai Raat Aadhee: Ab Hai Shafaq Ki Baaree;
Maanou Kahaa! Fuzool Bahaaney Na Banaaou Tum!!
Yeh Din Naheen Hai! Dekho, Taareek Nisf Shab Hai!
Deykhoon Tumhain Nazar Bhar: Shamaa To Jalaaou Tum!
Yeh Waqt Hai Surooree! Aakhoun Mein Khumaaree Kyoun?
Jalwah May-E-Uyoonee Naayaab, Dikhaaou Tum!
Tum Kartey Ataa: Leykin, Ham Sey Gayaa Na Maangaa!
Maanaa, Khataa Huyee Hai; Ab Maan Bhi Jaaou Tum!!
Dahroun Guzar Gaye Hain: Naaraaz Ho Abhi Bhi?
Aashiq Hain Ham Tumhaarey; Itnaa Na Sataaou Tum!
Peishaa Hi Tumhaaraa Hai Jab Chaaraasaazgee Kaa:
Bey-Zaan Ho Na Jaaoon? Ab Hosh Mein Aaou Tum!
Zid Hai, Binaa Bulaaye Aaoongaa Naheen Mein Bhi!
Kab Kaa Bulaa Rahaa Hoon? Beyhtar Hai, Bulaaou Tum!
Yah Hizra Ho, Na Ho; Par, Yah Wasl Bhi Naheen Hai?
Jal Hi Rahaa Hoon Yoon Bhi: Lo, Aur Jalaaou Tum!
Yah ‘Na-Nukar’, Yah ‘Maan-Manouwal’, To Hai Azal Sey:
Yeh, Aakhiree Lamhey Hain! Chaaho To, Bachaaou Tum!
Dooree, ‘Abd’, Rahee Hai; Leykin, Judaa Na They Ham!
Duniyaa Ko, Agar Shak Hai Ab Bhi; To, Mitaaou Tum!!