Hain Saare Rang Uske Liye Jo Hai Mera Khwaab
Hain Saare Sher Usake Liye Ban Gai Kitaab
Yun Sharm Usase Bahut Hai Par Hain Na Koi Naqaab
Usake Liye Hi Aaye Jaye Chehre Pe Hijaab
Ye Chaal Jo Bahki Si Hai Khyaal Uska Hai
Ye Aankh Hai Gulabi Jo Kamaal Uska Hai
Galon Pe Kahin Phool Bhala Yunhi Khilte Hain?
Ye Saara Rang Roop Bas Kamaal Uska Hai
Chahki Hai Aawaz Me Koyal Ki Sadaen
Usane Kahin Bas Door Se Ki Ham Pe Nigaahen
Furqat Bani Hai Ek Nasha Shayeri Bani
Ye Lub Pe Jo Na Aaaen Bas Hain Vo Hi Doaaen
Meri Hansi Se Pair Usake Dagmaga Gae
Ham Beech Bhanvar Doobe The Patvaar Pa Gae
Mujhpe Ruken Bas Usaki Nazar Aise Main Lagun
Bas Sabko Buri Usko Hi Achchi Si Main Lagun
Tu Na Zubaan Se Karna Meri Taareef Koi Bhi
Teri Nigahen Kahti Hain Likhti Hain Gazal Bhi
Kuchh Sher Mukammal Se Hain Kuch Aadhe Adhure
Par Teri Nazr Me Hain Mere Khwaab Bas Poore
Goongi Rahi Jo Chahaten Vo Sab Bani Gazal
Kuch Hadase Nigah Ke Hain Sher Ban Gaye
Likhte Chale Hain Tujhko Bas Ye Shayri Nahi
Ye Saari Hain Vo Baaten Jo Tujh Se Na Kah Sake
Bheege Hain Teri Pyaar Ki Baarish Me Is Tarah
Ham Ko Nahi Hai Kuch Bhi Khabar Kaise Ham Lagen
Chahat Ka Samunder Jo Tera Ham Ko Mila Hai
Jab Usame Hain Utare To Aapa‚  Jalpari Lage