Hain Pehloo Mein Aaj Meri Jaan
Machlaay Hain An-Kahe Armaan
Tar Honton Pe Shookh Tabasum
K Howa Yeh Mausam Bayimaan
(Tar Hoontoon=bheege Hoontoon,Tabasum=muskaan)

Shauq-E-Deed Mei Hoye Ghayal
Aisay Teer Chalaye Woh Kamaan
Aaj Kuch Aaisa Hoo Aay Khuda
K Jaa Naa Paaye Mera Mehmaan
Aake Liptna Garj-E-Badal Pe Uska
Jhom Jhom Aya Barasta Aasmaan
Raqs Karti Ungliyon Ka Lateef Lims
Nahi Kuch Yaad Bas Na Rah Imaan
Qaid Ho Umar-E-Rawa Iss Pal Mein
Rhiyaayi Ka Naa Rahaye Koi Samaan
(Rhiyaayi=bail/qaid Se Niklna)
Mil Gaayi Ho Jannat Iss Duniya Mein
Aman Ko Kuch Aisa Howa Gumaan
(Gumaan=khiyal/tasavur/imagination)