Hai Surkhguun Shabaab Bahaaroun Ki Mouj Hai
Haathoun Mein Hain Gulaab Kanwaaroun Ki Mouj Hai
Har Simt Hawaaoun Mein Muhabbat Ki Rooh Hai
Din Hai Usee Soofii Kaa Hazaaroun Ki Mouj Hai
Naayaab Hain Khatoot Likhaa Hai Alif Naheen
Zaahir Hai Par Payaam: Ishaaroun Ki Mouj Hai
Miltey Rahey Zaroor Madarsey Mein Ham Bahut
Jab-Tab Huye Tamaam Qaraaroun Ki Mouj Hai
Seenoun Mein Beyqaraar Baraabar Lagi Hai Aag
Fir Bhi Dhuaan Naheen Hai Sharaaroun Ki Mouj Hai
Chouhaddiyoun Mein Kal Tak Siskaa Thaa Bahut Pyaar
Aazaadiyaan Hain: Ishq Key Maaroun Ki Mouj Hai
Tab Chhup Key Milaanyeen Theen Eik Baar Ungliyaan
Par Aaj Haath Saath Hain Pyaaroun Ki Mouj Hai
Raanjhoun Pai Fab Raheen Hain Nayee Sheirwaaniyaan
Heeroun Key Sarsaraatey Garaaroun Ki Mouj Hai
Sardee Hai Gulaabee Hai Us Par Khiley Gulaab
Mousam Mein Jawaanee Hai Nazaaroun Ki Mouj Hai
Phooloun Ki Chadariyoun Mein Mannat Key Hain Naqaab
Khushbooyein Hain Hazaar Mazaaroun Ki Mouj Hai
Gulfaam Abd Shaam Ko Aayegaa Shartiyah
Dariyah Key Khushgawaar Kagaaroun Ki Mouj Hai