Hai Dil Me Khwaaish Ki Tujhse Ik Mulaakaat To Ho,
Mulakaat Naa Ho To Phir Milne Ki Kuch Baat To Karo,
Moti Ki Tarah Samet Liya Hai Jinhe Dil-E-Saagar Mey,
Khawaab Saja Ke, Unn Khawaabon Ko Ruswaa Na Karo
Bahut Armaan Hai Ki Phir Se Khile Koi Bahaar Yahan,
Yeh Maaloom Bhi Hai Ki Jaa Kar Waqt Aaya Hai Kahan,
Hawa Chalti Hai To Toot Jaate Hai Hare Patte Bhi To Kai,
To Sookhe Phoolon Se Khilne Ki Tum Iltezaa Naa Karo-Â…
Naa Gum Karna Tum, Naa Udaas Hona Kabhi Judaai Se,
Waqt Kat Hi Jaayega Tumhaara Meri Yaad-E-Tanhaai Se,
Yeh Duniya Rooth Jaaye Humse To Bhale Hi Roothi Rahe,
Sach Marr Jaayenge Hum, Tum Sanam Rootha Naa Karo
Lamha Dar Lamha Basse Rehte Ho Mere Khayaalon Mey,
Zikr Tumhara Hi Hota Hai Mere Dil Ke Har Sawaalon Mey,
Lo Lag Gayi Naa Hichkiyaan Tumhe Ab To Kuch Samjho,
Keh Do Ki -ŗshikha- Mere Baare Mey Itna Socha Naa Karo