Gul Hoee Jaatee Hei Afsurda Sulagtee Hoee Shaam
Dhul Ke Nikle Gee Abhi Chashma E Mehtaab Se Raat
Aur Mushtaaq Nigaahon Se Suni Jaye Gee
Aur Un Haathon Se Mas Honge Ye Tarse Hoay Hath

Unka Aanchal Hei Ke Rukhsaar Ke Perhan Hei
Kuch Tou Hei Jis Se Hoee Jaate Hei Chilman Rangeen
Jaane Us Zulf Ki Mauhum Ghani Chaoun Mein
Timtimaata Hei Vo Aweza Abhi Tak Ke Nahi
Aaj Phir Husn E Dilaaraa Ki Vohi Dhaj Ho Gee
Vohi Khaawbeeda See Ankhain Vohi Kajal Ki Lakeer
Rang E Rukhsaar Pe Halka Sa Vo Ghaaze Ka Ghubaar
Sandali Haath Pe Dhundli See Hina Ki Tehreer
Apne Afkaar Ki Ashaar Ki Dunia Hei Yehee
Jaan E Maazmun Hei Yehee Shaahid E Maana Hei Yehee
Apna Mauzu E Sukhan Inke Siwa Aur Nahi
Tabashayer Tabatan Inke Siwa Aur Nahi
Ye Khun Ki Mehak Hei Ke Lab E Yaar Ki Khushbu
Kiss Raah Ki Jaanib Se Saba Atee Hei Dekho
Gulshan Mein Bahaar Ayee Ke Zindaan Hoa Aabaad
Kiss Samt Se Naghmon Ki Sada Atee Hei Dekho
Gul Hoee Jaatee Hei Afsurda Sulagtee Hoe Shaam