Fir Guzre Khuch Lamhon Ki Yaadein Hongi,
Wahi Pal, Wahi Din, Wahi Zamaane Hain.
Tumhe Yakeen Hai Ki Tum Ghaayal Hoge -Ë—tanha-‘,
Us Teer-E-Nazar Ke Aur Bhi Bohat Nishaane Hain.
Galiyon Mein Hum Jo Nikle To Ye Kya Dekh Baithe,
Bekaririon Mein Kab Se Kitne Deewaane Hain.
Mile Jo Humse Kal Wo To Humne Hai Ye Jaana,
Unke Liye Is Safar Mein Hum Kitne Anjaane Hain.
Ek Muddat Se Hai Intzaar-E-Chaaraagar Mujhko,
Apne Dil Ke Kai Zakhm Ab Humko Mitaane Hain.
Lahron Ka Kaam Bhi Badha Diya Hai Humne,
Gharaunde Kai Mere Abhi Usko Bahaane Hain.
Ashiyaane Ko Maine Abhi Jalta Hua Hai Rakha,
Har Shaks Ko Apne Ghar Ke Chiraag Jalaane Hain.
Log Samajhte Hain Khel Ye Mere Liye Naya Hai,
Ghaav Nahi Jaante Mere Jigar Ke, Puraane Hain.
Chhod Diya Safeena Apne Haal Par Maine,
Sagar Ke Kai Karz Hain Jo Mujhko Chukaane Hain.
Manzil Ki Parchhaiyan Bhi Door Jaati Rahi Hain Hardum,
In Raaston Pe Aur Kai Kadam Humko Badhaane Hain.
Tum Kaho To Aaj Suna Doon Tumko Sahar Hone Tak,
Apne Bas Kuchh Thode Hi Bohat Afsaane Hain.