Fazaon Ko Fir Vajeh Se Mil Gayee Mahakane Ke
Afsurda Badalon Mein Se Chand Phir Muskuraya Hain
Takhleeq Meri Mein Phir Aaney Lagey Hain Shokhion Ke Dum
Labon Pe Phir Koyee Mast Nagma Ubhar Aayaa Hain
Phir Se Gaataa Hai Malhaar Saaz-E-Zeest Mera
Phir Se Chayee Hai Takhuyl Pe Aarzuon Ke Ghata
Jhumti Bal Khaati Hai Barq Umeedon Ki
Phir Se Wafa Ke Zard Aarizo Mein Nur Bhaa
Meri Tanhaee Bhee Soyee Hai Aaj Umron Ke Baad
Main Bhee Khud Se Mila Huin Baad Muddat Ke
Dard Ke Aankhon Mein Bhee Hein Aaj Massrrat Ke Aansoo
Tamanna Ko Milay Phir Se Pairhan Haqeeqat Ke
Besud Nahin Mahabbat Ki Wus‚  Atain
Dil Phir Yeh Mananay Ko Karta Hain
Khird Phir Bebus Si Khari Hain
Junun Phir Jaagney Ko Karta Hain
Aaj Tu Aayee Hai To Pathra Gayee Hai Shikvon Ki Jubaan
Kho Gyay Hain Gilon Ke Bol Kahin Khalaaon Mein
Meetha Taanaa Sa Detaa Hai Beetee Udaasee Ka Chehra
“Bhool Gayaa Hai “Sagar” Usey Vasl Ki Shuaon Mein”
Abhi Kuch Pal Mein Tut Jayega Waqt-E-Vasl Ka Dum
Phir Se Laut Jayengey Hum Liye Majburion Ke Daaman
Tu Meri Ho Ke Bhee Meri Na Hogi Kabhi
Teri Majburian Hain Yeh Duniya Ke Bemaar Aqayud
Main Bhi Majbur Huun In Haalaat Ke Haathon Humnufs Meri
Aatee Rhaa Karo Milnay Jab Talak Mumkin Hain
Kyuon Na Tab Talaq Ishq Ko Apnay
Vajah Miltee Rahey Jeeney Ki