Ekk Ladki Pagal Diwani ,Gumsum Chup Chup Si Rahti Thii
Barish Kee Tarah Shor Nahi Karti,Jheel Kee Tarah Wo Bahti Thii
Koi Us Ko Padh Naa Pata ,Koi Us Ko Samjh Naa Pata
Ekk Najar Bhar Dekhkar Har Koi Aage Badh Jata
Dari Sahmi Si Uski Aankhen,Na Jane Kya Kya Kahti Thi
Ekk Shakhs Dikhata Tha Aksar ,Jo Ata Jata Us Ke Ghar
Lata Sath Main Ek Thokar ,Khush Hota Use Chot Dekar
Jitne Pal Rukta Tha Aakar ,Woh Us Main Simatee Rahtee
Jo Ghav Chor Ke Jata Woh ,Un Choton Se Lipti Rahti
Us Ki Baton Ko Itna Sach Wo Samjhti Thi
Us K Kahne Par Wo Khud Ko Pagal Kahti Thi
Woh Hansatha Tha Jab Jab Us Pe,Woh Bhi Hansti Rahti Thi
Jab Jab Ata Tha Us Ke Ghar,Us Ko Kosa Karata Tha
Na Pyar Ki Kadar Koyee,Har Waqt Usse Ladhta Tha
Us Ko Kinara Mana Us Ne,Us Tak Hi Woh Bahti Thi
Pyar Bala Ka Tha Usse Hi ,Jiske Tane Sahti Thi
Ik Din Aisa Bhi Tab Aaya,Woh Aaya Par Dar Khula Nahi
Darwaze Par Hansata Hua,Ek Chera Us Ko Mila Nahi
Darwaza Khol Magar Jab,Ghar Ke Woh Anadr Aya
Darwaze Se Kuch Door Us Ne ,Kagaz Ka Ik Tukra Paya
Aansoo Se The Harf Likhe ,Aansoo Kee Baat Bikhri Thi
Har Akhsar Tha Dhula Hua,Har Baat Hi Nikhri Nikhri Thi
Ab Sambhal Ke Rakhna Khud Ko,Itna Mat Gussa Karana
Aur Kisee Ne Kab Seekha Hai,Tum Pe Jeena Tum Pe Marana
Woh Pagal Larkee Rahee Nahi, Jo Tum Ko Khoob Samjhti Thi
Tum Main Hai Woh Kahi,Tum Tak Hi Uski Duniya Simati Thi
Jo Tumahre Har Tane Main ,Pyar Hamaesha Parhti Thi
Tum Jab Jab Thokar Mara Karte,Badh Ke Pair Pakarti Thi
Ab Usi Ghar Main Tab Se,Ek Pagal Insan Rahta Hain
Mujhe Chor Ke Mat Jao,Parchayiyon Se Kahta Hain
Bas Saye Woh Dekhata Hai,Parchiyan Pakarta Hain
Jab Jab Us Ko Dekhana Ho,Aaina Dekha Karta Hain
Jab Kabhi Bhi Pyar Karo,Pyar Ko Jane Mat Dena
Jo Tumko Pooje Us Ko Tum,Pyar Main Tane Mat Dena
Warna Parchai Ko Pakroge,Aur Saye Rah Jayenge
Apana Ekk Naa Payoge ,Sab Praye Rah Jayenge
Aaj Samjha Wo Uski Diwani Aankhe Kya Kahti Thii
Ekk Ladki Pagal Diwani Gumsum Chup Chup Si Rahti Thii
Barish Ki Tarah Shor Nahi Karti,Jheel Ki Tarah Wo Bahti Thii