Ek The Ham, Ek The Tum..Or Ek
Wo Bhi Darmiyaan Nazar Aate The,
Yoonto Teenon Hi Alag The Har Ek Se
Per Ek Hi Taar Se, Jude Se Nazar Aate The,
Ham Ko Tumse Mohobbat Thi ..Or
Tum Ko Shaayad Wo Hi Bhaate The,
Tum Ko Ham Ka Saath To Bhaata Tha Per
Wo ..Tum Ki Jindgi Me Ahem Ho Jaata Tha,
Ham Apna Muk.Kaddar Khud Banaate
Tum Bhagwaan Se Badi Ummeed Rakhte
Or Wo Jaane Kis Soch Me Jindgi Bitaate The,
Yoonto Ham Ka Tum Se Rishta
Tum Ke Wojood Se Bhi Puraana Tha
Per Tum Ke Aakaash Me Wo Yoon Ghar Kar Geye
Ke Tum Ham Ko Jaankar Bhi Anjaana Tha,
Ham Aksar Tum Ko-Â…dil Ki Baat Bataana Chaahte
Tum Ke Dil Me Kuchh Jageh Banaana Chaahte,
Per Tum Apni Duniya Me Is Kadar Doobe Rehte
Ke Aksar Ham Ki Bhaavnaaon Ko Raund Jaate,
Tum Ki Andhi Mohobbat Ham Ko Chubh Si Jaati
Wo Ki Laaparwaahi Bhi Aksar-Â…ham Ka Dil Dukhaati,
Jis Wo Khaatir Tum-Â…badnaam Sa Huva Jaata Tha-Â…
-Ë—wo-‘ Koi Waada Na Karte Or Tum Wo Se Kuchh Keh Na Paate,
Tum Aksar Mandiron Me Diye Jalaate, Sir Jhukaate
Wo -Â…ki Kuchh Ho Paane Ke Khaatir, Upwaas Manaate,
Ham Tadap Uthte -Â…tum Ke Is Paagalpan Per
Or Wo, Tum Ke Khaair Kabhi, Koi Hausla Na Dikhaate,
Or Ek Roj Jab Ham Tum Ka Dard Seh Na Paaya
To Jaakar Ham Ne Wo Ka Dil Khatkhataaya,
Chhatt/roti Ki Koi Gaurenty Na Thi Wahaan Bhi
Wo Ko Bhi Achchhe Waqt Ka Intzaar Karta Hi Paaya
Phir Ek Roj Ham Ne Tum Ko Bhi Aajmaaya
Koshish Ki-Â…or Jindgi Ki Haqeekat Se Bhi Milwaaya,
Or Jab Tum Bhi Kuchh Samajhta Nazar Na Aaya-Â…
Khud Ko Tum Ke Dard Or-Â…tum Ko Wo Me Paagal Sa Paaya,
Ham Ye Tihra ( Thrice) Sa Dard Na Seh Paaya-Â…
Or Ek Roj Chupchhap Wida Keh Diya Tum Ko-Â…
Tum Ki Aankhein Bhi Nam Thi-Â…per Abki
Ham Har Haal Me Saath Dene Ka, Apna Waada Na Nibha Paaya.