Ek Tha Auir Ek Thi Tha Ne Thi Se Mohabbat Ki.
Afsaana Ho Gaya Dushman Sara Jamana Ho Gaya.
Gali Gali Unhin Do Naamon Ke Charche,
Deewar Deewar Par Unhin Do Naamon Ke Parche.
Thi Bechari Kya Kare Jiye Ki Mare?
Kah Na Saki Sah Na Saki Mar Gayi.
Ek Bahoot Lambi Yatra Ek Hichki Main
Tay Kar Gayi Tha Ko Na Jane Kya Ho Gaya.
Usse Laga Jaise Sab Kuchh Kho Gaya.
Besudh-Sa Rahne Laga Auir,
Jamana Usse Pagal Kahne Laga.
Kabhi Kabhi Woh Ekant Main Chala Jata,
Komal Komal Ungliyon Se Dharti Ke Kaagaz Par
Thi Ka Naam Likhta Usi Ke Chitra Banata Auir
Jab Kabhi Honthon Se Usake Geet Gungunaata To
Logon Se Pattharon Ki Bauchhar Paata Auir
Ek Din Aaaya Jab Aushadhi Auir Sahanibhuti Ke Aabhav Ne
Usako Bhi Khaya Kahani Samapt Huee.
Sanyog Se Es Kahani Ko Ek Filmi Produsar Ne
Filma Diya Aji! Gazab Dha Diya.
Log Betahasha Film Dekhne Jane Lage,
Ticket Paane Ke Liye Lambe Lambe Kyu Lagane Lage,
Auir Gali Gali Usi Film Ke Geet Gaane Lage.
Kalakaron Ne Bhi Bhumika Kuchh Aisi Khoobi Se Nibhai,
Glishreen Aankhon Main Lagakar Aansuon Ki Woh Dhara Bahai
Ki Janta Ko Film Jarurat Se Jyada Bhai Parinaam-Tah Hua Aisa,
Film Ko Naam Mila Producer Ko Paisa Kalakaron Ko Mila Samman,
Sarakaar Se Puraskaar Sochta Hun Kaisa Jamana Aa Gaya Hai.
Ntak Ko Puraskaar Haqeeqat Par Patthron Ki Bauchhar.
Ai Yug Tujhe Sau-Sau Namaskaar.