Ek Rangeen Din Mein Ek Khoobsurat Pari Jo Mili
Pal Bhur Ke Liye Woh Ghum Legayi Aur Khushiyan Chodgayi
Haste Khil Khilate Pawan Ke Jhonkon Mein
Aur Sawaan Ki Boondo Mein Woh Humare Saare Dukh Maud Chali
Hume Unhone Jeevan Bhur Ka Ek Sacha Dost Dediya
Aur Humari Takleefon Ko Apne Sar Leliya
Bechaini Hoti Hain Abto Unki Awaaz Na Sune
To Aur Tadapte Hain Unki Khabar Nahi Jaane To
Wafa Mohabbat Ki Nahi Deh Sakte
Unhe Kyunki Kisi Aur Ko Dil Mein Rakhe Huve Hain
Woh Jaante Hain Lekin Hum Saaza-E-Tamanna Guzar Rahe Hain
Pehli Baar Jab Unko Dekha To Woh Hosh Udagaye
Humne To Samjha Tha Unko Nadaan Woh To Dhadkan Soona Gaye
Ke Ek Rangeen Din Mein Ek Pari Jo Mili
Khushi Mili Dost Mili Raahat Mili Aur Jeene Ki Khwaish Mili