Ek Raat Ka Fasana Hai Ek Aajeezi Ke Lia.
Banda Jiska Diwana Hai Bas Bandagi Ke Lia.
Wo Paiker-E-Sharafat Ki Hai Zinda Misaal.
Duniya Ne Bhi Mana Hai Uski Zahanat Ka Kamal.
Hota Hai Shuba Aabzoo Ka Jo Wo Utha Le Palke^n.
Hota Hai Shufaq Char Soo Jo Wo Jhuka Le Palke^n.
Chandni Bhi Shrmaye Hai Jo Wo Muskaraye Hai.
Labo^n Pe Sajaye Muskan Sabko Hasaye Hai.
Naam Mera Wo Jab Bhi Hoto^n Pe Laati Hogi.
Khudaa Ki Kasam Bahut Lajaati Hogi.
Naam Jiska Lete Hai Mai Ho Jata Diwanaa.
Wahi Hai Mere Dil Ki Malika Wahi Hai Sulatana.
Bass Yehi Kah Kar Wahi^n Jane Ko Jee Machalta Hai.
Kuch Kah Jao-Ge “Rumi” Se Aap Yehi Dil Kahta Hai.