Ek Pagal Ladki Jise Main Janta Hoon,
Kya Chahti Hai Vo, Main Bhi Nahi Janta Hoon,
Kuchh Bhi Kaho, Lagti Hai Vo Ek Gudiya,
Bhool Jata Hoon Har Gam, Jab Sath Ho Vo Jadu Ki Pudiya,
Thodi Si Chanchal Hai, Thodi Si Nadaan Hai Vo,
Thodi Si Bholi Hai, Aur Iss Zalim Duniya Se Anjaan Hai Vo,
Ek Pagal Ladki Jise Main Janta Hoon,
Kya Chahti Hai Vo, Main Bhi Nahi Janta Hoon,
Gam Diye Hai Usko, Uske Khwaabo Ki Tabir Ne,
Dhokha Diya Hai Usko, Uski Be-Intehaa Wafa Ne,
Gar Bholepan Ka Matlab Gam Hai, To De Do Mujhe Sare Gam,
Rehne Do Usko Bholi, Na Aaye Uske Chehre Pe Sitam,
Ek Pagal Ladki Jise Main Janta Hoon,
Kya Chahti Hai Vo, Main Bhi Nahi Janta Hoon,
Aae Kash Main Uske Liye Kuchh Kar Pata,
Apne Hisse Ki Khusiya Bhi Uske Nazar Kar Pata,
Aye Mere Khuda, Apni Kuchh Rehmat Dikha,
Uska Bholapan, Muskaan, Masoomiyat Mujhe Firse Dikha,
Ek Pagal Ladki Jise Main Janta Hoon,
Kya Chahti Hai Vo, Main Bhi Nahi Janta Hoon.

By Wali Farooqui