Ek Mehfil Me Main Tumse Mili
Ik Arse Ki Judaai Ke Baad
Saari Nazren Bas Ham Par Thin
Main Chaah Ke Bhi Kuchh Kah Na Saki
Tum Bhi To Khoe Khoe Rahe
Hamne Vo Saari Baaten Ki
Jo Hamne Kabhi Sochi Bhi Na Thin
Tumne Poochha Ki Kahan Hun Main
Maine Poochha Ab Tum Ho Kahaan
Ham Dono Janate The Dil Me
Ham Ik Dooje Ke Rahte Hain
Phir Tumne Poochha Kaisi Ho
Main Kaha Bas Achchi Hun
Maine Poochha Tum Kaise Ho
Tumne Bhi Kaha Sab Badhiya Hai
Tab Koi Gar Vahan Hota
Aankhon Ki Zuban Jo Padh Pata
To Ek Tanhaai Vahan Bhi Thi
Aur Ik Tanhaai Yahaan Bhi Thi
Tumne Phir Kaha Kabhi Aao
Ham Tumko Bahut Ghumaaenge
Hai Shahar Hamara Pyara Bada
Ham Isase Tumhe Milaaenge
Aur Maine Kaha Ki Shahar Mera
Us Shahar Se Bhi Pyara Hai Bada
Tum Aao Kabhi Sab Ko Lekar
Ham Saath Saath Hi Ghoomenge
Tab Koi Dhadkan Sunta To
Do Dil Ek Taal Pe Dhadke The
Phir Tumne Kaha Koi Number Hai
Kya Kabhi Agar Main Aaya To
Maine Bhi Diya Phir Vo Number
Par Us Pe Kabhi Ghanti Na Baji
Tum Jaante Ho Ye Thik Nahi
Main Jaanti Hun Naamumkin Hai
Par Dil To Aaj Bhi Dil Hi Hai
Iaska Bas Ek Hi Sapna Hai
Ki Kabhi Phone Ki Ghanti Baje
Aur Main Tujhse Vo Sab Kah Dun
Jo Waqt Pe Tujhse Na Kah Paai
Kuchh Aur Hi Tab Ham Tum Hote
Tum Tum Hote Ham Ham Hote
Ab Kahin Door Ham Khud Se Hi
Apna Apna Dukh Sahte Hain
Nazron Se Door Bhi Hokar Ham
Dil Me Bas Chhup Ke Rahte Hain