Ek Ladki Hai Di Dikhai Jo Meri Khwab Ki Parchaai Si Ho
Uski Har Ada Ki Lazzat Meri Nazar Mein Samaai Si Ho
Uski Muskaan Hai Aisi Ke Kisi Phool Se Churaai Si Ho
Phoolon Ko Bhi Andaai Jaise Ussine Sikhaai Si Ho
Meri Aarzuon Ki Tada, Uski Aankhon Ki Gehraai Si Ho
Uski Har Nazar Hai Jaise Kisi Shayar Ki Likhaai Si Ho
Uske Husn Ki Tarash Aisi Kemeenar Koi Banaai Si Ho
Wo Chale To Uske Aage Jaise Bijli Bhi Sharmaai Si Ho
Us Surat Ki Ek Zalak, Har Toote Dil Ki Dawaai Si Ho
Chand Ki Parastish Bhi, Usse Bewafai Si Ho
Meri Dhadkane Bhi Jaise, Uske Aanchal Ki Bunaai Si Ho
Use Paa Lu Agar To Jaise, Meri Zindagi Ki Kamaai Si Ho.